Mere Humnafas, Mere Humnawa,Mujhe Dost Ban Ke Daga Na DeMain Hoon Dard-e-Ishq Se Jaan-Valab,Mujhe Zindagi Ki Dua Na DeMere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni,Isi Roshni Se Hai ZindagiMujhe Darr Hai Ae Mere Chaaragar,Yeh Chiraag Tu Hi Bujha Na DeMujhe Ae Chhorh De Mere Haal Par,Tera Kya Bharosa Hai ChaaragarYeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,Mera Dard Aur Badha Na DeMera Azm Itna Buland HaiKe Paraaye Sholo-n Ka Darr NahinMujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai,Yeh Kahin Chaman Ko Jala Na DeWoh Uthein Hain Leke Hom-o-Subu,Arrey O 'Shakeel' Kahan Hain TuTera Jaam Lene Ko Bazm MeinKoi Aur Haath Badha Na De!Awesome when listened in Begum Akhtar's voice
Post a Comment
1 comment:
Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon Dard-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De
Mere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni,
Isi Roshni Se Hai Zindagi
Mujhe Darr Hai Ae Mere Chaaragar,
Yeh Chiraag Tu Hi Bujha Na De
Mujhe Ae Chhorh De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De
Mera Azm Itna Buland Hai
Ke Paraaye Sholo-n Ka Darr Nahin
Mujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai,
Yeh Kahin Chaman Ko Jala Na De
Woh Uthein Hain Leke Hom-o-Subu,
Arrey O 'Shakeel' Kahan Hain Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De!
Awesome when listened in Begum Akhtar's voice
Post a Comment