Sunday, February 05, 2006

insaan kahan hain?

kaun batayein kisse poochein
sab to hain insaan kahan hain
aisa kyon hain wasie kyon hain
ye sab kuch hai kaisa kyon hain
aaj bhi kal ke jaisa kyon hain

kaun batayein kisse poochein
sab to hain insaan kahan hain

jale hue ye ghar kiske hain
kate hue ye sar kiske hain
naaze aur khanjar kiske hain?
ye khooni manzar kiske hain?

kaun batayein kisse poochein
sab to hain insaan kahan hain


kaun batayein kisse poochein
sab to hain insaan kahan hain

dharam kahan imaan kahan?
kuda kahan bagwan kahan
are sach poocho to insaan kahan?
mera pyaara hindustaan kahan hai

kaun batayein kisse poochein
sab to hain insaan kahan hain

********************************************

madir bhi le lo
masjid bhi le lo
magar tum hamare
laho se na khelo

mandir se gar jo
khuda hai nadardad
aur masjidion mein
nahin hai jo ishwar
to phir aadmi ke liye dharm kya hai
jahan aadmi ke liye uthne hain khanjar


khuda ko bhi le lo
ishwar ko bhi le lo
tum ram le lo
babar bhi le lo

kaun bataayein kisse poochein
sab to hain insaan kahan hai

No comments: